akela chala musafir apne raah pe
akela khada musafir apni aah se
akela raha musafir apni baahon mein
akela mara musafir apni mitti mein
akele reh jaayegene hum, par chalte jaaengein
is akelepan mein simat jaaenge hum, par chalte jaengein
apne andar kho jaaengein, par chalte jaaengein
chalte jaaengein aur ladte jaaengein
kho gaya tha musafir is duniya ke khwaabon mein
ki apni tanhai bhi kho gayi
kho gaya tha musafir sheher ki roshni mein
ki andar ke andhere na dikhein
laut aayenge woh din
laut aayegi woh dard
laut aayegi woh kashish
aur phir jal uthega woh naabalik
laut aayega woh
tadap uthega woh
par phir paida, khada
aur ladak uthega woh bacha
yehi samay hai
yehi imtihaan
har mod pe ek hi daastan
chala chal musafir
teri ant aur tere shuruvaat mein
ek hi kashish likhi thi
chalta ja musafir
abhi raah kaafi lambi hai
abhi raah kaafi baaki hai