What i feel, think and imagine, I spell!

Friday, June 06, 2014

Yeh zakhm kuch hare bhare se hain


Yeh zakhm kuch hare bhare se hain
Aansun kuch dare dare se hain
Syahi yeh zindagi ki tapak tapak kar thak chuki hai
Mujhe door jaana, aur aage safar kaafi Lamba hai

Is ummeed mein ki musafir milega
Is ummeed mein ki tum phir miloge

Atakti hui saans se chipti hui ehsaas tak
Har ant Mubarak hai
Ek samay aisa aayega
Ek samay aisa tha

Ji leta musafir is pal ko
Par har pal mein kuch kamin si hai
Har pal mein ek khaameen si hai

Tu bahadur banta jaayega par bahadur ho nahin paayega
Is shangarsh ke beech apne aap mein dabta jaayega
Apne aap mein simat jaayega

Har vakt har samay har pal
Tere paas ek hi raasta reh jaayega
Chalta ja, manzil kabhi na kabhi to nazar aayega

No comments: